Friday 10 June 2016

Hindu muslim sikh

Aao milkar apna Bharat mahan banaye
Hindu muslim sikh se pehle insan kehlae..
.
Masjid ho ya mandir sab ki ek kamna h..
Hath jodkr ya failakr maksad to bs mangna h...
Jab koi fark nhi hmari bnawat hmare vicharo me
Fir q bant di ye duniya alag alag sansaro me..
Q na diwali ko lge gale or id ko diye jalaye
Aao milakar apna Bharat mahan banaye...
Hindu muslim sikh se pehle insan kehlae..
..
Din bhi whi, raat b whi, ek Sa andaaz jagne sone ka..
Niwala na mile, to ek Sa dard a ehsaas hmare bach rone ka...
Whi ammi ka ashirwad, whi baap ki dua h..
Fir q itni doori apne darmiyan hai...
Chalo kre aisa jatan jo ye doori mitaye..
Na tute ekta aisa savidhan banaye...
.....
Aao milkar apna Bharat mahan banaye
Hindu muslim sikh se pehle insan kehlae..
..
Gita me h jo, whi quran to whi bibal me h likha
K sabsa bda karam hai
Yhi keh gye hmare guru sabhi, insaniyat
Hi sabse bda dharam hai..
Kyu na unke sath,unki baatein b apnae
Unhe fakr ho humpr kuch aisa krjaye..
Chalo milkar ek aisi awaz uthaye...
Tukdo me rehne wale hum ek shakti ban jaye
...
Aao milkar apna Bharat mahan banaye
Hindu muslim sikh se pehle,insan kehlaye

Thursday 2 June 2016

maa ka chehra

Aankho me mere chand utar aata hai
Jab bhi maa ka chehra nazar aata hai
.
Fikr nhi jo mere sar muflisi ka saya b h
Maa k hath rakhne  se sab utar jata h
.
Khuda me maa, maa me khuda nazar aata h
ghar me masjid,masjid me ghar nazar aata h
.
Udaas hote hi maa k kadmo me bikhar jata hu
Ye wo jgah h jha murjhaya fool nikhar jata hai.
.
Maa ka dard jise na nazar aata hai
Wo khuda k dil se utar jata hai.
.
Kyu na khu main mere ghar ko mandir
Mere maa se milke hr bacha befikr jata h

mujhe tum jano

mujhe tum jano meri hasrato se kabhi..
milo tum mujhse fursato se kabhi, ,
.
kuch bhi raas nhi mere labo ko tere naam k siwa..
de jao inhe koi baat apne labon se kabhi, , ,

.
mera toh koi bas nhi tujhprr..
tumhi nikal aao apni hado se kabhi..
.
main tujhse meri khoyi nind, khoye sapne nhi mangta..
bss chin lo tanhai meri karvato se kabhi...
.
jabse bichde ho tum bas sukhe sukhe rehte hai..
mujhse nahi kamsekam mil aao un bargadho se kabhi...
.
har koi jaan gya ab to meri chahat..
tum bhi waqif ho jao meri hasrato se kbhi..

Wednesday 1 June 2016

maa teri yaadon me

Maa teri yaadon me Fakir ho gya hu
M apni hi aankhon ka neer ho gya hu
.
Na biwi ka  rha na bachcho ka reh ska
Maa tere jane se m jaise Kashmir ho gya hu
.
Fike fike libazo me bematlab zazbaton Sa
M to jaise kisi vidhwa ka zamir ho gya hu
.
Mujhe dekh bhar k ro dete h log
Maa mujhe bulale pass m peer ho gya hu
.
Nirash mere ghar ki mujhse dehlizh rehti h
Maa guzarne se m aangan me padi lakir ho gya hu
.
Maa maa bss maa hi rehta h zuban pr
Tu meri amritvani m tera Kabir ho gya hu
.
Maa k hone se sultano sei khyalaat the mere
Ab to jaise budhe banjaron ki taqdeer ho gya hu

hawaon ka zor

Hwaon ka zor lgta h ek patta hilme me
Pahado Sa hosla chahiye pyar krne me
.
Raato raat to sirf zism mila krte h
Ek zmana lgta h do dilo ko milne me
.
Sehnaiya bajti hai duniya k riti riwazo se varna
Baap ko dekh beti murjha jati h sringar krne me.
.
Samandar  yuhi kishtiya yaad nhi aati
Ek umr LG jati h is par se us par tarne me
.
Uchaiya to koi bhi chule sidiyo ka sahara lekar
Aasman si chati lgti h Aasma se girne me
.
Zinda h to unko dekhne ki khatir
Warna sakoo h bss marne me..
.
Sahar ko fook to koi bhi dega ek aangar se
Zindagi bazar ho jati h ek makan krne me
.

Tuesday 31 May 2016

kaash tu hota

kash tu insan nhi koi khuda hota..
hazaro mandir hote tere na bas ek makan hota..
fir tujhe dekhne kahi na bhatakana padta..
k agar tu khuda hota to har jagah hi hota...
.
kash zindagi ka safar dharti pe nhi hawao me hota, ,
tu kabhi suraj toh kabhi chand ki panaho me sota..
fir to har saans k sath tere or karib aa jate..
k agar sab hawao me hota to tu b to hawao sa hota..
.
kash tu pani se bani koi boond hota..
main chat pe hr barsat aankhen moondhh sota..
fir toh duwao me bs umr bhar ka rona hi mangte..
k agar tu boondh hota to socho aansuo me kitna sakoon hota..
.
kash tu khali sa kagaz ya bhari koi kalam hota..
mere hathon, mere zazbaton me shamil hardam hota..
khub sochte magar chahkr b kuch na likh pate..
k agar kagaz hota to daag hota, kalam hota to tu khatam hota..
.
kash main dhoop to tu chaav hota..
tu marham to main koi ghaav hota..
mana k log hmesha mujhe koste..
magar jo b hota tu mujhse juda hota...
.
kash tu hota, jaisa bhi hota..
jo bhi hota, magar kash tu hota..

jis sadak se tum

Jis sadak se tum jate the ghar ki aur
Karta hai dil jab us rah pr gaur
.
Teri yaadein yun smaye mere andar
Bhar jaye jo koi khali samandar
Thik hai hum yaara jawab joothe hai
Manalo hme khudse hi ruthe hai.
.
Raat tasveer teri zinda ho jati hai
Sapno se nikal samne tu aati hai
Pad jab koi teeza aa jaye wha
Jane gayab ti ho jaye kha
.
Thode bikhre to, thode ikathe hai
Khawab sare mere na abhi toote hai
Thik hai hum yaara jawab joothe hai
Manalo hme khudse hi ruthe hai
.
Dil agar ho ja to bhi mai du tujhe
Marne ka bhi fir na gam ho mujhe
Aakhri saans me bhi krne milne ka vaada agar
Intzaar kru main tera umarbhar
.
Bol na paye unko, jinke ye kisse hai
Aashiqi k aandaz bhi yaara anuthey hai
Thik hai hum yaara jawab joothe hai
Manalo hme khudse hi ruthe hai.