Tuesday 31 May 2016

ghar kaise jayenge

Iss hawa me agar aur ude to par katar jayenge..
Zara batao to hum parindey ab kaise ghar jayenge...
.
Kal raat to sek li Thi rotiya apni chath jalakrr..
Bhuke marte na Jane aaj kiska ghar jalenge...
.
Kahin majhab to kahi sarhad Ki hai bediya...
Bin laal kiye jism, us par kaise guzar payenge...
.
Ek lambe daur se guzar rahi h beraunak ye zindagi..
Khusi mile ya gam moti aankhon k bikhar jayenge..
.
Usse dooriyo ka itna aadi ho gya h dil..
Ab wo mile to khusi se mar jayenge..
.
Ho sake to hmesha sakti se pesh aana hum gustakh logon se..
Agar tumne zara b mohlat di to hum hadh se guzar jayenge.
.
Kehne lage h pagal ab log mujhe..
Lgta h ab to kuch Kr guzar jayenge.

No comments:

Post a Comment